Saturday, June 19, 2021

Main Jaata To Kidhar Jata........


Saamne Manzil Thhi, Aur Peeche Uss Ki
Aawaaz,
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To
Bichhar Jaata,
Mehkhana Bhi Ussi Ka Thha, Mehkaar
Bhi Uss Ka,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To
Sanam Jaata,
Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise
Lage Dil Par,
Chupaata To Jigar Jaata, Sunata To
Bikhar Jaata,
Mere Gham Ki Dawa Na Thhi, Siwaye
Yaar Ke Koochay Ke,
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To
Kidhar Jata...

Tuesday, October 22, 2013

Maafi Chahta Hu...................

Jinhe mein apna bana na saka unse maafi chahta hu..
Jinka dard mein baant na saka unse maafi chahta hu.....

Pata tha k yahan kuch log begunah bhi hai par mein HAAN me sir hila na saka unse maafi chahta hu...

Maangi thee khushiyan Har apne begaane ki,
Mein jinke liye haath faila na saka unse maafi chahta hu....

Shikwa na koi Aur na gila koi tha unse mujhe kbhi,
Haskar yahan se jaa na saka unse maafi chahta hu.....

Yun apne nagmo me mein apni har baat zaahir karta hu,
Mein jinke liye gajal bana na saka unse maafi chahta hu......

Friday, October 4, 2013

Happy Bday Maasi
5th Oct.2013

Yaadon Mein Aapki



Friday, February 15, 2013

Maaaa


Umar Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thoda Thoda Mara Hai Maa Ne

Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi

Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar

Paida Hua Tha To Kuch Nahi Tha Main
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Main

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo De du Dil Tohfe Mein Agar

Maa Ko Chodte Hain Aise Kuch Log Hote Hain

Kuch Logoon Ke Liye Maa Ko Chodte Nahi
Chahe Kuch Ho Jaye Muh Modte Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karey Meri Issi Ada Pe

Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Kare
Karu Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Kare

Thursday, October 4, 2012

05 October 2012


Happy Birth Day Masi

 Aachhe Logon Ki Ek Khoobi Ye Bhi Hoti Hai.......
 Unhe Yaad Rakhna Nhi Padta Wo Yaad Reh Jaate Hai........ 

Yaadon Mein Aapki.............

Thursday, September 13, 2012

HINDI DIWAS-14 SEPTEMBER 2012

संस्कृत की एक लाड़ली बेटी है ये हिन्दी।
बहनों को साथ लेकर चलती है ये हिन्दी।

सुंदर है, मनोरम है, मीठी है, सरल है,
ओजस्विनी है और अनूठी है ये हिन्दी।

पाथेय है, प्रवास में, परिचय का सूत्र है,
मैत्री को जोड़ने की सांकल है ये हिन्दी।

पढ़ने व पढ़ाने में सहज है, ये सुगम है,
साहित्य का असीम सागर है ये हिन्दी।

तुलसी, कबीर, मीरा ने इसमें ही लिखा है,
कवि सूर के सागर की गागर है ये हिन्दी।

वागेश्वरी का माथे पर वरदहस्त है,
निश्चय ही वंदनीय मां-सम है ये हिंदी।

अंग्रेजी से भी इसका कोई बैर नहीं है,
उसको भी अपनेपन से लुभाती है ये हिन्दी।

यूं तो देश में कई भाषाएं और हैं, 
पर राष्ट्र के माथे की बिंदी है ये हिन्दी।

Friday, August 17, 2012

18 August 2012

       
        Jhooth Kahon To Sab Kuch Hai Mere Pass.........

 Or Sach Kahon To , Ek Aapki Yaadon k Siwa Kuch 

Bhi Khas Nahi ....